Showing posts with label sad. Show all posts
Showing posts with label sad. Show all posts

Tuesday, September 8, 2015

ये प्यार नहीं ... जो

भरोसा चाहते हो..तो थोड़ा तुम भी रखो मुझ पर..
ये प्यार नहीं ... जो इकतरफा हो जाए..!!

Sunday, November 10, 2013

dil bekaraar hi na karoon.............


Teri bewafaai mein dil bekaraar hi na karoon,
Tu hukm de to tera intezaar hi na karoon,

Tu bewafa hai to kuch iss kadar bewafaai kar,
Ke tere baad main kisi aur se pyaar hi na karoon…....

Saturday, November 9, 2013

KI TUJHE MEIN KITNA PYAR KRTA HOON..............................

Jane-anjane, mein tujhe BEZAAR KRTA HOON..
Tere mutabiq, tera jeena DUSHWAR KRTA HOON.. 
Ek bar ye narazgi chhod ke to dekh» 
KI TJHE MEIN KITNA PYAR KRTA HOON

Teri ek jhalak ka har ghdi, TLBGAAR REHTA HOON.. 
Har agli subah, bnd ankhon se tera, DEEDAR KRTA HOON..
Tu khud apne dil se puchh»
KI TUJHE MEIN KITNA PYAR KRTA HOON

Tu mera subkuchh loot ke bhi kuchh de gya,
Ki unhi teri yadon se mein PYAR KRTA HOON..
Kbhi meri yad aaye,
to puchhna unse kyu aayi..?» Zwab milega,
KI TUJHE MEIN KITNA PYAR KRTA HOON

Tujhe paane ke sajde,
mein har MANDIR-O-MAZAAR KRTA HOON..
Ab to hr roz, us lamhe ka INTEZAR KRTA HOON..
Jab tujhe bahon me bhrke kahunga
DEKH, TUJHE MEIN KITNA PYAR KRTA HOON

. . Par . . Dekha hai maine,
guzrte waqt ke sath, badlta hai insan..
To fir ek swaal, main SAR-E-BAZAR KRTA HOON..
Kyu nahin badlta ye kambkht dil,
KYU MEIN TUJHE AAJ BHI ITNA PYAR KRTA HOON???

rahul meena

Friday, November 1, 2013

Na jane mere


Na jane mere ansuo ko teri judai ki khabar kaun deta hai, Shayad ye khud he nikal padte hai teri talash mein….

Monday, September 30, 2013

Mujhe rona nahi aata

Mujhe rona nahi aata
Mujhe khona nahi aata
Ke tum bin jina mumkin nahi
Jo dard tum dena chahti ho mujhe wo
sahna ni aata
Tum to rah loge sath kisi aur ke magar
Main kya karu mujhe rishta badalna bhi
nahi aata
Tum to wakif ho andaz e guftgu ke
Mujhe to baat karne ka salika bhi nahi
aata
Tum to jeet jate ho lad jhagad kar bhi
Dekho mujhe to ladna bhi ni aata
Tum to khush rah loge mere bin
Dekho tumhare bina to mujhe jena bhi
nhi aata...

Tuesday, June 25, 2013

hum yaad to aayenge...............

Hamare sath beete lamhoo ki yaade sambhal ke rakhna.....

kynuki phir hum yaad to aayenge par lot ke kabi nahi aayenge...;

Sunday, April 28, 2013

Mai Dil Ka Ameer Mukaddar Ka Garib tha,

 Mai Dil Ka Ameer Mukaddar Ka Garib tha,
Mil Ke Bichadna Mera Nasib Tha, Chah Ke Bhi
Kuch Na Kar Sake Hum, Ghar Bhi Jalta Raha
Aur Samundar Bhi Kareeb Tha...!!!

Thursday, April 18, 2013

aaNsuoN ka hisaab rakhta hai
dil meiN kitne azaab rakhta hai.

jane kiski hai qabr wo jis par
roz taazaa gulaab rakhta hai.

jaag kar kat_ta hai shab aksar
phir bhi palkoN pe khwaab rakhta hai.

wo jo chahe to kya nahiN hoga
yuN hi khana-kharaab rakhta hai.

gungunata hai chhip ke meri ghazal
shauq to lajawaab rakhta hai

Saturday, April 13, 2013

zindagi se badh kar pyar kiyahai tum ko....!.

Apni har saans mein aabad kiya hai tum ko...!!

aye meri jaan bohat yaad kiya hai tum ko...!!

meri zindagi mein tum nahi to kuch bhi nahi...!!

apni zindagi se badh kar pyar kiyahai tum ko....!.!

Bichar k tujh se .....


Bichar k tujh se ye khud ko sza di maine,
Teri tlaash me ek umar lga di maine,
Tujhe jo dil se nikala to yu lga jaise,
Apne andar koi diwar gira di maine,
Goonge behro me rha jaise koi nabina,
Zindgi tere bina aise bita di maine,
Jis ka hr lafz adhura rha sanam tere bin,
Zindgi aisi ik kitaab bna di maine,
'Dosto'
Us ko achanak se jo khoya to lga,
Zindgi ek hi lamhein me gnwa di maine.

chuuna tou duur hai .. ab na manzoor hai koi mere siva tera zikr bhi kare

Muj say aisi Muhabbat kerti hai wo....................

Muj say aisi Muhabbat kerti hai wo

Main ager kahin dooor safer per jaon..
tu maray liye dua-go rehti hai wo
Main ager preshan hota hoon..
tu mari preshanii ko apna laiti hai wo
Aur mari preshanii main preshan hoti rehti hai
Or dherooo duay kerdaltii hai wo


Muj say aisi muhabbat kerti hai wo

Ager kabhi main us per gussa hoon..
tu chup chaap sun laiti hai wo..
kabhii uff tak nahin kertii wo
Ager kabhi main us say pyaar say pochoon
main tumhain dant`ta hoon gussa hota hoon
tumahin bura tu nahin lagta? Toh wo bolti hai
Muje tu ap kay gusay main bhi pyar ki jhalk mehsoos hoti hai
Muj say aisi Muhabbat kerti hai wo

Ager main us ko bolon tum yah kam nahin kero gi..
tu binaa kuch kahay foren man jati haii wo
Ager kabhi kisi baat per ansoo bhati hai
tu yaad anay per kay us kay ansoon say mujay takleef hogi
foren chup hojati hai wo
Muj say aisi Muhabbat kerti hai woo

Ager ek din wo muj say na mil pay..
muj say baat na kar paaye toh baichain ho jati hai wo
Jab tek us ko main nazer na aoon mujsay baat na hoo..
us waqt tek mari tasveero say ghantoo batain kerti hai wo..
bolti hai..kidher hoo..abhi tek aayy kyun nahin?
Ager phone ki bell bajay tu sab kaam chor ker
mara soch ker bhagtii hai wo..
or ager muj ko na payy tu bohat udaas hojati hai wo
Muj say aisii Muhabbat kerti hai wo

Main jis ko sunta hoon jis ko passnd kerta hoon...
wo phir ussi ko sunti rehtii hai...
jo rang mara passendeda hota hai..
maray passndeda rung ko apnay dil say lagati hai wo
Ager kabhii shopping per jay toh her cheez
maray passendeda rung per laina chahti hai wo
Muj say aisi muhabbat kerti hai wo

Jab main us ko pyar kernay kay liyee agay bherta hoon..
us ko choota hoon tu sherma ker thora sa door ho ker
rukh mor ker kharii hojati haii or khud main hi simtiti hai wo..
Main jab phir say us kay qareeb jata hoon toh
apni ankahin mond ker mari saansoo ki khusbuu ko
apnay ander utarti hai wo
Muj say aisi Muhabbat kerti hai wo

Lkain aj main anjany main us ko aisi batain kah gyaa
jis say us ko takleef hoi..
Meri baat sun ker wo thori dare rukii..
apnay dil main Aas liyee lakin main toh
chup hogya tha apni bat kah ker
Aur wo sab seh gaii chup chaap chali gai
apni Aas sath main liyee or pehroo rotii rahee...
Lakin phir main nay us ko pyar kiyaa..
us say mafi mangii...lakin aj main us ko anjnay main dukh gyaa..
jis ka shaid mujay zindagi bher afsoos rhay gaaa...

Lakin phir bhiii wo maray liye dua-go rehti hai..
meri preshani per Allah say dheeroo duay ker dalti haii wo
maray na milnay per muj say na baat honay per
phir bhi baichain ho jati hai wo..
aj bhi phone ki bell per mara soch ker dhortii hai wo...
Abhi bhi main pyar keroon tu sherma jati hai woo
meri dukh denay wali baat ko kitni asani say maaf kerdiya us nayy
Dekhoo Muj say itniiiiii Muhabbat kerti hai wooo