Thursday, February 27, 2014

Agar beparwahon ki koi duniya hoti..

Agar beparwahon ki koi duniya hoti,
Hamara yaar wahan ka badshah hota..

Pichle baras tha khof tujhe kho na doon..

Pichle baras tha khof tujhe kho na doon,
Ab ke baras dua hai tera saamna na ho..

Sazaa ban jaati hain yaadein.

Sazaa ban jaati hain guzre huye waqt ki yaadein,
Janey kyun log matlab ke liye meherbaan hote hain..

Monday, February 24, 2014

Na badle hum hain, na badle tum ho

wo waqt hi kuch aisa tha jo badal gaya
na badle hum hain, na hi badle tum ho
hawaa ka ek jhaunka tha jo badal gaya
na badle hum hain, na hi badle tum ho

wo pal jo kabhi hamaare the badal gaye
ehsaas jo kabhi tumhaare the badal gaye
badalne ko to ye zamaanaa badal gaya
na badle hum hain, na hi badle tum ho

meri un baaton ko kya tum bhool paaye ho
haseen mulaaquaaton ko kya bhool paaye ho
kehte ho tum ki hum badal gaye,  par 
na badle hum hain, na hi badle tum ho

wo chiraag chaahat ke aaj bhi jal rahe hain
yaadon ke wo kaafile aaj bhi chal rahe hain
ek lamha tha jo guzar gaya, wo badal gaya
na badle hum hain, na hi badle tum ho

jin baahon ke gheron me kabhi rehte the tum
jin nigaahon ke chaaon me kabhi rehte the tum
mudke dekhlo ek baar wo baahen, nigahen wahi hain
aajaao, na badle hum hain, na hi badle tum ho

meri har dua me aaj bhi tum hi tum ho
meri dhadkano me ho, saanso me tum ho
badal gaya ho chaahe wo beetaa lamha
na badle hum hain, na hi badle tum ho...

Jis Shaks K Bagair Guzara Na Ho Saka

Jis Shaks K Bagair Guzara Na Ho Saka
Ye Kiya Sitam K Who Bhi Hamara Na Ho Saka
Ankhoon Na Jis K Wasta Sadiy?On Safar Kiya
Who Youn Mila K Us Ka Nazara Na Ho Saka
Main Na Har Ek Rukh Pay Nigahain Bikhair Din
Lakin Badal Koi Bhi Tumhara Na Ho Saka
Jo Rah-E-Guzar Ishq Main Pathar Banay Rahay
Un Sa Kisi Bhi Tor Kinara Na Ho Saka
Mujh Ko Kis Liya Shikwa Ho Gair Say
Khud Jub Main Apnay Dukh Ka Sahara Na Ho Saka

WO b badal gya mery halat ki tarha

guzry dinon ki bhuli hui bat ki tarha
ankhon main jagta hai koi rat ki tarha
os se umeed thi k nabhaye ga sath
magar wo b badal gya mery halaat ki tarha

Woh Shakss Kitna Badal Geya…

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya
Kuch din to mera aks raha aaine pe naqsh
phir youn huwa ke khud mera chehra badal gaya
koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
jaatay hi aik shakhs kay, kiya kiya badal gaya
ik sarkhushi ki moj nay kaisa kiya kamal
wo bay-niaaz saara ka saara badal gaya
uth kar chala gaya koi waqfay kay darmiaan
parda utha to saara tamasha badal gaya
hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
baaton main apni baat ko kaisay badal gaya
kehne ko ik sehan main deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya
shayad wafa kay khel se uktaa gaya tha who
manzil kay paas aake jo rusta badal gaya
qayem kisi bhi haal pay dunya nahin rahi
taabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya
andar kay mosamon ki khabar us ko ho gayee
us no-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya
aankhon mein jitna ashk thay jugnoo say ban gaye
woh muskuraya or meri dunya badal gaya
apni gali main apna hi ghar dhoondhtay hain log
tinku~ ye kon sheher ka naqsha badal gaya

Wo mehendi lge hath dikha k royi,,,

Wo mehendi lge hath dikha k royi,,,
me kisi or ki hun y wo bta k royi,,,

Me bola kon h wo khush naseeb,,, 
wo mehendi se likha hua naam dikha k royi,,,

Kahin gham se phat na jaye dil mera,,,
wo mjhe hanste2 hnsa k royi,,,

Dil na toote uska Gham-e-Hijaab me,,,
Me b roya wo b meri aankh se aankh mila k royi,,,

Dil ne chaha use g bhr dekh lun,,, 
wo meri aankhon ki pyaas ko bujha k royi,,,

Kbi kehti thi k me g nhi paungi tm bin,,,
or wo phr aaj y bat dohra k royi,,,