Showing posts with label sad shayari. Show all posts
Showing posts with label sad shayari. Show all posts

Saturday, November 9, 2013

KI TUJHE MEIN KITNA PYAR KRTA HOON..............................

Jane-anjane, mein tujhe BEZAAR KRTA HOON..
Tere mutabiq, tera jeena DUSHWAR KRTA HOON.. 
Ek bar ye narazgi chhod ke to dekh» 
KI TJHE MEIN KITNA PYAR KRTA HOON

Teri ek jhalak ka har ghdi, TLBGAAR REHTA HOON.. 
Har agli subah, bnd ankhon se tera, DEEDAR KRTA HOON..
Tu khud apne dil se puchh»
KI TUJHE MEIN KITNA PYAR KRTA HOON

Tu mera subkuchh loot ke bhi kuchh de gya,
Ki unhi teri yadon se mein PYAR KRTA HOON..
Kbhi meri yad aaye,
to puchhna unse kyu aayi..?» Zwab milega,
KI TUJHE MEIN KITNA PYAR KRTA HOON

Tujhe paane ke sajde,
mein har MANDIR-O-MAZAAR KRTA HOON..
Ab to hr roz, us lamhe ka INTEZAR KRTA HOON..
Jab tujhe bahon me bhrke kahunga
DEKH, TUJHE MEIN KITNA PYAR KRTA HOON

. . Par . . Dekha hai maine,
guzrte waqt ke sath, badlta hai insan..
To fir ek swaal, main SAR-E-BAZAR KRTA HOON..
Kyu nahin badlta ye kambkht dil,
KYU MEIN TUJHE AAJ BHI ITNA PYAR KRTA HOON???

rahul meena

Wednesday, October 9, 2013

एक पगली लड़की के बिन जीना गद्दारी लगता है.................






जब कमरे में सन्नाटे की आवाज़ सुनाई देती है,

जब दर्पण में आंखों के नीचे झाई दिखाई देती है,
जब बड़की भाभी कहती हैं, कुछ सेहत का भी ध्यान करो,
क्या लिखते हो लल्ला दिन भर, कुछ सपनों का सम्मान करो,
जब बाबा वाली बैठक में कुछ रिश्ते वाले आते हैं,
जब बाबा हमें बुलाते है,हम जाते में घबराते हैं,
जब साड़ी पहने लड़की का, इक फोटो लाया जाता है,



जब भाभी हमें मनाती हैं, फोटो दिखलाया जाता है,


जब पूरे घर का समझाना हमको फनकारी लगता है,

तब एक पगली लड़की के बिन जीना गद्दारी लगता है,
पर उस पगली लड़की के बिन मरना भी भारी लगता है।

मावस की काली रातों में दिल का दरवाजा खुलता है,
जब दर्द की काली रातों में गम आंसू के संग घुलता है,
जब पिछवाड़े के कमरे में हम निपट अकेले होते हैं,
जब घड़ियाँ टिक-टिक चलती हैं,सब सोते हैं, हम रोते हैं,
जब बार-बार दोहराने से सारी यादें चुक जाती हैं,
जब ऊँच-नीच समझाने में माथे की नस दुःख जाती है,
तब एक पगली लड़की के बिन जीना गद्दारी लगता है,
और उस पगली लड़की के बिन मरना भी भारी लगता है।

जब पोथे खाली होते है, जब हर्फ़ सवाली होते हैं,
जब गज़लें रास नही आती, अफ़साने गाली होते हैं,
जब बासी फीकी धूप समेटे दिन जल्दी ढल जता है,
जब सूरज का लश्कर छत से गलियों में देर से जाता है,
जब जल्दी घर जाने की इच्छा मन ही मन घुट जाती है,
जब कालेज से घर लाने वाली पहली बस छुट जाती है,
जब बेमन से खाना खाने पर माँ गुस्सा हो जाती है,
जब लाख मन करने पर भी पारो पढ़ने आ जाती है,
जब अपना हर मनचाहा काम कोई लाचारी लगता है,
तब एक पगली लड़की के बिन जीना गद्दारी लगता है,
और उस पगली लड़की के बिन मरना भी भारी लगता है...!!!

Monday, September 30, 2013

Buhat Masroof Ho Shayad....

Buhat Masroof Ho Shayad....
Jo Hm Ko Bhool Baithy Ho...

Na Ye Poocha Kahan Pe Ho..
Na Ye Jana K Kaise Ho...

Tuesday, June 25, 2013

Marta Nahi Koi .................

Marta Nahi Koi Kissi Ky Baghair Yeh Haqeqat Hy Zindagi Ki,

Leekin Sirf Sansai'n Leney Ko ............... .......Jeena Tu Nahi kahte 

Sunday, April 28, 2013

Raat ka waqt h ghazal likh rhi hon,..........................

Raat ka waqt h ghazal likh rhi hon,
Apni chahat py mi kuch harf likh rhi hon,

Tanha hon tanhai k alam min bethi,
na jane mi Q ? aur kya likh rhi hon,

jo acha lagta hai mujh ko.
Mi us k liye ye sub likh rhi hon,

Sary zamane ko to mujh se ulfat nhi ?
Wo to sirf ek shaks k liye likh rhi hon,

wo mujh ko chahy ya na chahy
Mai to sirf aur sirf apna dard likh rhi......

Mai Dil Ka Ameer Mukaddar Ka Garib tha,

 Mai Dil Ka Ameer Mukaddar Ka Garib tha,
Mil Ke Bichadna Mera Nasib Tha, Chah Ke Bhi
Kuch Na Kar Sake Hum, Ghar Bhi Jalta Raha
Aur Samundar Bhi Kareeb Tha...!!!

Thursday, April 18, 2013

aaNsuoN ka hisaab rakhta hai
dil meiN kitne azaab rakhta hai.

jane kiski hai qabr wo jis par
roz taazaa gulaab rakhta hai.

jaag kar kat_ta hai shab aksar
phir bhi palkoN pe khwaab rakhta hai.

wo jo chahe to kya nahiN hoga
yuN hi khana-kharaab rakhta hai.

gungunata hai chhip ke meri ghazal
shauq to lajawaab rakhta hai