Saturday, April 5, 2014
KUCHH LOG BADAL GAYE HAIN
Is raat ki.. Tanhaeeyo ke
Sab rang badal Gaye hai
Chand nikla hai waise hi
Andhere badal Gaye hai
Jinke bharose thi khusiyan
Wo badal Gaye hain
Manzile to abb bhi WO hi hain
Kuch rastay badal Gaye hain
Jinpe kiya tha bharosa humne
Wo dost bicharr Gaye hain
Dakhe thay kabhi jo humne
Wo kahwab badal Gaye hain
Jo banay thay kabhi hamsafar
Aaj WO hi mukarr Gaye hain
Ais tutay huye dil kay saray..
Jazbaat badal Gaye hain
Na badle kabhi hum
Na badle hamaray khayalat
Bas rona hai yahi......
KUCHH LOG BADAL GAYE HAIN
Kuch Log Yahan Par Aaise Hain
Kuch Log Yahan Par Aaise Hain
Har Rang Me Rang Badaltey Hain
Hum Unko Aur Samajtey Hain
Par Woh Kuch Aur Nikaltey Hain
Kuch Log Yahan Par Aise Hain
Apne Matlab Se Matlab Hai
Kisi Aur Se Einko Kya Matlab
Begaane Se Ban Jaatey Hain
Jab Nikal Jaye Einka Matlab
Koi Kaise Einke Saath Chaley
Har Modh Pe Raha Badaltey Hain
Kuch Log Yahan Par Aaise Hain
Humse Yeh Kitni Bhool Hui
Pahele Na Inhey Pechan Sakhey
Jab Uth Gaya Parda Chehrey Se
Tab Asli Surat Jaan Sakhey
Kya Milta Hai Ein Logon Ko
Jaane Kyon Aisa Kartey Hain
Kuch Log Yahan Par Aaise Hain
Subscribe to:
Posts (Atom)