Sunday, April 28, 2013

Muhabbat seekh kar karna!!

Suno...!
Muhabbat seekh kar karna!!
K bin seekhay muhabbat ka safar dushwar hota hai!!!
Gareban taar hota hai!!
Kabhi inkar hota hai!!
Kabhi Iqrar hota hai!!
K bin seekhay muhaabat to sarabon ki kahani hai!!
Dukhon ki rajadani hai!!
Jo kal ban jaye ga badal,
Yeh woh darya ka pani hai!!
Suno....!
Muhabbat seekh kar karna!
K bin seekhay muhabbat tu azab-e-zindagi theri!!
Sarab-e-zindagi theri!!
Na ho takmeel jis ki woh..!
Kitab-e-zindagi theri..........

No comments: