Tuesday, October 22, 2013

Abhi woh dard baki hai .....................


Abhi woh dard baki hai ,
Agarchay waqt marham hai,
Magar kuch waqt lagta hai,
Kisi ko bhool janay mein,
Dobara dil basaanay mein ,

Abhi kuch waqt lagna hai,
Abhi woh dard baki hai,
Main kaisay naee ulfat main,
Apni zaat ko gum kar doun,
Kay maray Jism-O-Jaan mein,
Abhi woh fard baki hai,
Abhi uss shakhs ki mujh par,
Nigah-E-Sard baki hai,
Abhi to ishq k raastoon ki,
Mujh par gard baki hai,
Abhi woh dard baki hai ..

No comments: