Sunday, October 27, 2013

Heart touching story…


Ek bar sari feelings ne
faisla kia k wo sab chupan chupai khelen gi…
Dard ne counting start ki aur sari feelings chup gain…
Jhoot ek darakht k peeche chup gaya…
aur pyar gulab k paudon k peeche…
Sab pakre gae siwae pyar k,
yeh dekh kr jealousy ne dard ko bata
dia k pyar kahan chupa hai…
Dard ne pyar ko kheench k nikala
to kanton ki waja se pyar ki ankhen
kharab ho gayi aur wo andha ho
gaya,
Yeh dekh kar sab ne dard ko saza sunai k,
wo zindagi bhar pyar k sath rahe
ga…
Bas tab se pyar andha hota hai aur wo
jahan b jata hai dard us k sath jata hai…

No comments: